Saturday, July 11, 2015

Meri Maa..
























Rakha jo haath sir par mere..
Gumo ne rasta badal liya..

Dekha jo pyar se ek nazar tune..
Aaram rooh ko bhi aagya..

Saath mila tera jab bhi..
Sara jahan phulo sa khil gaya..

Teri ek awaj se hi..
Maan mera jhoom ke nach utha..

Tere kadmo me hai mera jahan..
Ye dil har pal yahi keh raha..

MAA tu jo saath hai..
Zindagi meri aabad hai..
Khuda bhi muhjpe mehraban hai..
Hootho pe sada muskaan hai..

MAA tu jo saath hai..
Mera har sapna sakar hai..
Mere gumo ko bhi aaram hai..
Khusiyon me biti har sham hai..